mere gham ki manzil mein jaise wo bhi Thahre hain
mere ġham kī manzil meñ jaise vo bhī Thahre haiñ
ḳhvāb jo nahīñ dekhe kis qadar sunahre haiñ
muddateñ huiiñ un ko ek baar dekhā thā
aaj tak nigāhoñ par āñsuoñ ke pahre haiñ
kab kisī kī sunte haiñ un ko dekhne vaale
jin kī aañkh raushan hai un ke kaan bahre haiñ
kam nahīñ taġhāful se iltifāt bhī un kā
daaġh vo bhī taaza haiñ zaḳhm ye bhī gahre haiñ
kyā ḳhabar zamāne ko ham se kitne dīvāne
zindagī ke dāman par ashk ban ke Thahre haiñ
dil meñ kyā hai bātoñ se kuchh pata nahīñ chaltā
āj-kal zamāne meñ dost kitne gahre haiñ
yādgār-e-māzī haiñ 'badr' apne dāġh-e-dil
qāfile bahāroñ ke is jagah bhī Thahre haiñ
mere gham ki manzil mein jaise wo bhi Thahre hain
KHwab jo nahin dekhe kis qadar sunahre hain
muddaten huin un ko ek bar dekha tha
aaj tak nigahon par aansuon ke pahre hain
kab kisi ki sunte hain un ko dekhne wale
jin ki aankh raushan hai un ke kan bahre hain
kam nahin taghaful se iltifat bhi un ka
dagh wo bhi taza hain zaKHm ye bhi gahre hain
kya KHabar zamane ko hum se kitne diwane
zindagi ke daman par ashk ban ke Thahre hain
dil mein kya hai baaton se kuchh pata nahin chalta
aaj-kal zamane mein dost kitne gahre hain
yaadgar-e-mazi hain 'badr' apne dagh-e-dil
qafile bahaaron ke is jagah bhi Thahre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.