mere ghar hon ki kahin dur darichon mein charagh
mere ghar hoñ ki kahīñ duur darīchoñ meñ charāġh
shab-e-hijrāñ kā hai dastūr darīchoñ meñ charāġh
muntazir aañkh to thak-hār ke so jaatī hai
jāgte rahte haiñ majbūr darīchoñ meñ charāġh
ab to aatā hī nahīñ merī galī meñ koī
kis kī ḳhidmat pe haiñ māmūr darīchoñ meñ charāġh
maiñ huuñ āvāra-e-shab aur ye zād-e-shab haiñ
dīda-e-tar dil-e-ranjūr darīchoñ meñ charāġh
merā aur us kā ta'alluq hai faqat itnā sā
jaise rakkhe hoñ kahīñ duur darīchoñ meñ charāġh
us ke lauT aane se bīnā.ī bhī lauT aa.ī hai
jagmagā uTThe haiñ be-nūr darīchoñ meñ charāġh
ab to āzād huuñ dīvār-o-dar-o-bām se maiñ
ab havā ko nahīñ manzūr darīchoñ meñ charāġh
shab-e-ummīd bhī Dhalne ko hai aa jā 'sāgar'
bujhne vaale haiñ ye mahjūr darīchoñ meñ charāġh
mere ghar hon ki kahin dur darichon mein charagh
shab-e-hijran ka hai dastur darichon mein charagh
muntazir aankh to thak-haar ke so jati hai
jagte rahte hain majbur darichon mein charagh
ab to aata hi nahin meri gali mein koi
kis ki KHidmat pe hain mamur darichon mein charagh
main hun aawara-e-shab aur ye zad-e-shab hain
dida-e-tar dil-e-ranjur darichon mein charagh
mera aur us ka ta'alluq hai faqat itna sa
jaise rakkhe hon kahin dur darichon mein charagh
us ke lauT aane se binai bhi lauT aai hai
jagmaga uTThe hain be-nur darichon mein charagh
ab to aazad hun diwar-o-dar-o-baam se main
ab hawa ko nahin manzur darichon mein charagh
shab-e-ummid bhi Dhalne ko hai aa ja 'sagar'
bujhne wale hain ye mahjur darichon mein charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.