mere hathon mein kabhi uski kalai de de
mere hāthoñ meñ kabhī us kī kalā.ī de de
ya.anī ik pal ko mujhe saarī ḳhudā.ī de de
us ke pahlū meñ rahūñ kaash maiñ dhaḌkan ban kar
maiñ jo mahsūs karūñ us ko sunā.ī de de
ek ik lamha mirā yaad meñ us kī guzre
bas mujhe vo hī vo har shai meñ dikhā.ī de de
us ke āñchal se lipaTtī haiñ havā.eñ kyūñkar
juz mire saare zamāne kī judā.ī de de
tujh ko āġhosh-e-mohabbat ho mayassar lekin
us ke hāthoñ meñ agar apnī kamā.ī de de
tū ki munsif hai tirā jurm chhupā kar rakkhūñ
maiñ ki mujrim huuñ tirā mujh ko rihā.ī de de
kahkashāñ samt badaltī hai har ik mausam meñ
us ko 'mansūr' koī rañg-e-hinā.ī de de
mere hathon mein kabhi us ki kalai de de
yani ek pal ko mujhe sari KHudai de de
us ke pahlu mein rahun kash main dhaDkan ban kar
main jo mahsus karun us ko sunai de de
ek ek lamha mera yaad mein us ki guzre
bas mujhe wo hi wo har shai mein dikhai de de
us ke aanchal se lipaTti hain hawaen kyunkar
juz mere sare zamane ki judai de de
tujh ko aaghosh-e-mohabbat ho mayassar lekin
us ke hathon mein agar apni kamai de de
tu ki munsif hai tera jurm chhupa kar rakkhun
main ki mujrim hun tera mujh ko rihai de de
kahkashan samt badalti hai har ek mausam mein
us ko 'mansur' koi rang-e-hinai de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.