mere ham-rah mere ghar pe bhi aafat aai
mere ham-rāh mire ghar pe bhī aafat aa.ī
āsmāñ TuuT paḌā barq girī chhat aa.ī
sharm aa.ī bhī jo us shoḳh kī āñkhoñ meñ kabhī
shoḳhiyāñ kartī huī saath sharārat aa.ī
hijr meñ jaan hai dūbhar ye likhā thā un ko
ḳhat meñ likkhī huī marne kī ijāzat aa.ī
sochtā jaatā huuñ raste meñ ki ye dūñgā javāb
guftugū un se agar ġhair kī bābat aa.ī
phir har ik sher meñ kuchh dard kā paatā huuñ asar
phir kahīñ hazrat-e-'beḳhud' kī tabī.at aa.ī
mere ham-rah mere ghar pe bhi aafat aai
aasman TuT paDa barq giri chhat aai
sharm aai bhi jo us shoKH ki aankhon mein kabhi
shoKHiyan karti hui sath shararat aai
hijr mein jaan hai dubhar ye likha tha un ko
KHat mein likkhi hui marne ki ijazat aai
sochta jata hun raste mein ki ye dunga jawab
guftugu un se agar ghair ki babat aai
phir har ek sher mein kuchh dard ka pata hun asar
phir kahin hazrat-e-'beKHud' ki tabiat aai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 178)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.