mere ham-sae ko mujhse ji churana aa gaya
mere ham-sā.e ko mujh se jī churānā aa gayā
jab maiñ us ke sāmne jaisā thā vaisā aa gayā
mutma.in thā puure ghar meñ raushnī bhar dūñgā aaj
pahlā dīpak hī jalā aur ḳhud kā saayā aa gayā
phir batā.ūñgā sabhī ko sar jhukāne kā hunar
pahle ḳhud hairān ho luuñ ye mujhe kyā aa gayā
chhūne kī zid meñ use mahsūs kar paayā nahīñ
pyaas hī le kar gayā thā aur pyāsā aa gayā
kyā añdherā miT gayā sab ne faqat pūchhā yahī
kab kisī ko thī tasallī diip zinda aa gayā
mere ham-sae ko mujh se ji churana aa gaya
jab main us ke samne jaisa tha waisa aa gaya
mutmain tha pure ghar mein raushni bhar dunga aaj
pahla dipak hi jala aur KHud ka saya aa gaya
phir bataunga sabhi ko sar jhukane ka hunar
pahle KHud hairan ho lun ye mujhe kya aa gaya
chhune ki zid mein use mahsus kar paya nahin
pyas hi le kar gaya tha aur pyasa aa gaya
kya andhera miT gaya sab ne faqat puchha yahi
kab kisi ko thi tasalli dip zinda aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.