mere hamdam mujhe meri KHushi aur gham se kya matlab
mere hamdam mujhe merī ḳhushī aur ġham se kyā matlab
tū aisā tiir hai jis ko kisī marham se kyā matlab
dikhātā hai mujhe tū is liye ye sab kī tasvīreñ
mujhe bas tujh se matlab hai kisī album se kyā matlab
bikharte haiñ jo rātoñ ko hare pattoñ pe kuchh motī
uḌātī hai sahar un ko use shabnam se kyā matlab
tumhāre chāhne vaale haiñ lākhoñ log duniyā meñ
tumheñ bas un se matlab hai tumheñ ab ham se kyā matlab
mujhe kyā farq paḌtā hai december biit jaane se
udāsī merī fitrat hai ise mausam se kyā matlab
mere hamdam mujhe meri KHushi aur gham se kya matlab
tu aisa tir hai jis ko kisi marham se kya matlab
dikhata hai mujhe tu is liye ye sab ki taswiren
mujhe bas tujh se matlab hai kisi album se kya matlab
bikharte hain jo raaton ko hare patton pe kuchh moti
uDati hai sahar un ko use shabnam se kya matlab
tumhaare chahne wale hain lakhon log duniya mein
tumhein bas un se matlab hai tumhein ab hum se kya matlab
mujhe kya farq paDta hai december bit jaane se
udasi meri fitrat hai ise mausam se kya matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.