mere hi aansuon ke shikasta bahaw par
mere hī āñsuoñ ke shikasta bahāv par
mujh ko biThā gayā koī kāġhaz kī naav par
mere paroñ ko kaaT ke vo saath le gayā
ab to maiñ uḌ rahā huuñ havā ke dabāv par
bigḌī huī hai chaal kuchh aisī tire baġhair
jaise maiñ chal rahā huuñ sulagte alaav par
kitnā hasīn ḳhvāb dikhā.ī diyā mujhe
marham lagā rahā thā koī mere ghaav par
manzil talak pahuñchne kā kahtā rahā magar
mujh se nazar churā gayā pahle paḌāv par
us se kaho 'umair' vo lauT aa.e ek baar
aa.ī huī hai zindagī ab chal-chalāv par
mere hi aansuon ke shikasta bahaw par
mujh ko biTha gaya koi kaghaz ki naw par
mere paron ko kaT ke wo sath le gaya
ab to main uD raha hun hawa ke dabaw par
bigDi hui hai chaal kuchh aisi tere baghair
jaise main chal raha hun sulagte alaw par
kitna hasin KHwab dikhai diya mujhe
marham laga raha tha koi mere ghaw par
manzil talak pahunchne ka kahta raha magar
mujh se nazar chura gaya pahle paDaw par
us se kaho 'umair' wo lauT aae ek bar
aai hui hai zindagi ab chal-chalaw par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.