mere hi jaisa koi us par tha
mere hī jaisā koī us paar thā
aañkh thī yā rauzan-e-dīvār thā
ulTī jānib bah rahī thiiñ kashtiyāñ
aur havā ke haath meñ patvār thā
aañkh uThā kar dekhtā kyoñ aks ko
aa.ine kā bhī koī me.aar thā
paañv dharne ko milī aisī zamīñ
paañv dharnā bhī jahāñ dushvār thā
baat karte jā rahe the aa.ine
mahv-e-hairat ā.ina-bardār thā
dekhtā rahtā thā āñkheñ muuñd kar
niiñd meñ thā yā koī bedār thā
pūchhte ho kyā bulandī kā sabab
zer-e-pā 'āsif' farāz-e-dār thā
mere hi jaisa koi us par tha
aankh thi ya rauzan-e-diwar tha
ulTi jaanib bah rahi thin kashtiyan
aur hawa ke hath mein patwar tha
aankh uTha kar dekhta kyon aks ko
aaine ka bhi koi mear tha
panw dharne ko mili aisi zamin
panw dharna bhi jahan dushwar tha
baat karte ja rahe the aaine
mahw-e-hairat aaina-bardar tha
dekhta rahta tha aankhen mund kar
nind mein tha ya koi bedar tha
puchhte ho kya bulandi ka sabab
zer-e-pa 'asif' faraaz-e-dar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.