mere hone ka mujhe pahle yaqin hone de
mere hone kā mujhe pahle yaqīñ hone de
phir adam kā tū mujhe taḳht-nashīñ hone de
varna ye baat ibādat kī rahegī tishna
pahle taslīm ke qābil ye jabīñ hone de
tū mujhe jalva dikhā apnā mire sāmne aa
hashr muusā kī tarah ba.ad-azīñ hone de
maiñ tirī zaat kā hissa to nahīñ huuñ phir bhī
mere maulā tū mujhe arsh-nashīñ hone de
terā isbāt mukammal tabhī hogā mujh meñ
pahle andar to mire ek nahīñ hone de
ḳhalq ab saarī tirī dād-rasī ko tarse
kal jo karnā hai tujhe aaj yahīñ hone de
mere hone ka mujhe pahle yaqin hone de
phir adam ka tu mujhe taKHt-nashin hone de
warna ye baat ibaadat ki rahegi tishna
pahle taslim ke qabil ye jabin hone de
tu mujhe jalwa dikha apna mere samne aa
hashr musa ki tarah baad-azin hone de
main teri zat ka hissa to nahin hun phir bhi
mere maula tu mujhe arsh-nashin hone de
tera isbaat mukammal tabhi hoga mujh mein
pahle andar to mere ek nahin hone de
KHalq ab sari teri dad-rasi ko tarse
kal jo karna hai tujhe aaj yahin hone de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.