mere hone na hone mein na tha kuchh bhi magar phir bhi
mere hone na hone mein na tha kuchh bhi magar phir bhi
Farooq Ahmad Batt
MORE BYFarooq Ahmad Batt
mere hone na hone meñ na thā kuchh bhī magar phir bhī
na jaane kyoñ huā taḳhlīq be-qīmat bashar phir bhī
havā kī pusht pe tāroñ bharī vus.at meñ ho aaya
magar ik qalb kī gahrā.iyoñ se be-ḳhabar phir bhī
dhamākoñ kī sadā se gūñjtī hai ye zamīñ har pal
qalam kī nīm-bismil āh-e-shab hai be-asar phir bhī
agarche ḳhaak mustaqbil kā har imkān rakhtī hai
charāġhoñ ke muqaddar meñ nahīñ hotī sahar phir bhī
hamārī dostī kā baj rahā hai shahr meñ Dankā
mirā dil aabla phir bhī tirī zid neshtar phir bhī
mere hone na hone mein na tha kuchh bhi magar phir bhi
na jaane kyon hua taKHliq be-qimat bashar phir bhi
hawa ki pusht pe taron bhari wusat mein ho aaya
magar ek qalb ki gahraiyon se be-KHabar phir bhi
dhamakon ki sada se gunjti hai ye zamin har pal
qalam ki nim-bismil aah-e-shab hai be-asar phir bhi
agarche KHak mustaqbil ka har imkan rakhti hai
charaghon ke muqaddar mein nahin hoti sahar phir bhi
hamari dosti ka baj raha hai shahr mein Danka
mera dil aabla phir bhi teri zid neshtar phir bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.