mere honTon pe ajab aah-o-fughan rahne diya
mere hoñToñ pe ajab āh-o-fuġhāñ rahne diyā
us ne furqat meñ bhī ḳhāmosh kahāñ rahne diyā
tā ki jazbāt-zada qais nasīhat pakḌeñ
dasht vāloñ ne mirā nām-o-nishāñ rahne diyā
maiñ ne iz.hār ke sab raste muqaffal kar ke
jo bhī manzar thā vo duniyā pe ayaañ rahne diyā
kār-e-taḳhlīq meñ koī to zarūrat hogī
us ne īqān ke parde meñ gumāñ rahne diyā
mujh ko āsānī nazar aatī thī us meñ 'āsim'
āshiqī kar lī sabhī kār-e-jahāñ rahne diyā
mere honTon pe ajab aah-o-fughan rahne diya
us ne furqat mein bhi KHamosh kahan rahne diya
ta ki jazbaat-zada qais nasihat pakDen
dasht walon ne mera nam-o-nishan rahne diya
main ne izhaar ke sab raste muqaffal kar ke
jo bhi manzar tha wo duniya pe ayan rahne diya
kar-e-taKHliq mein koi to zarurat hogi
us ne iqan ke parde mein guman rahne diya
mujh ko aasani nazar aati thi us mein 'asim'
aashiqi kar li sabhi kar-e-jahan rahne diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.