mere honTon pe meri aah-o-fughan hai jaanan
mere hoñToñ pe mirī āh-o-fuġhāñ hai jānāñ
log kahte haiñ baḌī talḳh zabāñ hai jānāñ
jānte haiñ ki mohabbat kā maraz hai mujh ko
pūchh lete haiñ magar dard kahāñ hai jānāñ
daas lagte haiñ ye duniyā ke suḳhanvar tere
terī bātoñ kā vo andāz-e-bayāñ hai jānāñ
kah ke patthar jise duniyā ne lagā dī Thokar
vo mirā dil hai mohabbat kā makāñ hai jānāñ
dard dīvār pe mandir kī likhī chaupā.ī
aah merī kisī masjid kī azaañ hai jānāñ
kar ke ghāyal mujhe mā'sūm banī baiThī hai
terī āñkhoñ pe jo palkoñ kī kamāñ hai jānāñ
mere siine pe zarā dast-e-hinā rakh do tum
dil meñ ab 'ishq kā ḳhurshīd javāñ hai jānāñ
kar lī mahtāb ne ye dekh ke rāteñ kaalī
tere hoñToñ pe jo ik til kā nishāñ hai jānāñ
terī āñkhoñ meñ mire donoñ jahāñ baste haiñ
tere qadmoñ pe lagī ḳhaak meñ jaañ hai jānāñ
mere honTon pe meri aah-o-fughan hai jaanan
log kahte hain baDi talKH zaban hai jaanan
jaante hain ki mohabbat ka maraz hai mujh ko
puchh lete hain magar dard kahan hai jaanan
das lagte hain ye duniya ke suKHanwar tere
teri baaton ka wo andaz-e-bayan hai jaanan
kah ke patthar jise duniya ne laga di Thokar
wo mera dil hai mohabbat ka makan hai jaanan
dard diwar pe mandir ki likhi chaupai
aah meri kisi masjid ki azan hai jaanan
kar ke ghayal mujhe ma'sum bani baiThi hai
teri aankhon pe jo palkon ki kaman hai jaanan
mere sine pe zara dast-e-hina rakh do tum
dil mein ab 'ishq ka KHurshid jawan hai jaanan
kar li mahtab ne ye dekh ke raaten kali
tere honTon pe jo ek til ka nishan hai jaanan
teri aankhon mein mere donon jahan baste hain
tere qadmon pe lagi KHak mein jaan hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.