mere ilzam sab zamane par
mere ilzām sab zamāne par
vo nahīñ hai mire nishāne par
pattharoñ se bhī ishq hotā hai
maiñ ne jaanā ye tujh ko paane par
ek bādal bahut hī royā thā
ek dariyā ke suukh jaane par
mujh ko āsān thā rulā denā
diqqateñ ā.eñgī hañsāne par
vaqt kī qaid meñ rahā itnā
panchhī uḌtā nahīñ uḌāne par
kis tarah kā hisāb hai 'āqib'
ishq baḌhtā hai kyoñ ghaTāne par
mere ilzam sab zamane par
wo nahin hai mere nishane par
pattharon se bhi ishq hota hai
main ne jaana ye tujh ko pane par
ek baadal bahut hi roya tha
ek dariya ke sukh jaane par
mujh ko aasan tha rula dena
diqqaten aaengi hansane par
waqt ki qaid mein raha itna
panchhi uDta nahin uDane par
kis tarah ka hisab hai 'aqib'
ishq baDhta hai kyon ghaTane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.