mere jaisa koi apna nahin paya hoga
mere jaisā koī apnā nahīñ paayā hogā
chāñd ko dukhḌā tabhī us ne sunāyā hogā
guftugū hañs ke vo kartā hai har ik se lekin
dard dil kā kabhī lahje meñ bhī aayā hogā
merī yādeñ to darīchoñ se bhī jā saktī haiñ
qufl to us ne dar-e-dil pe lagāyā hogā
rok paatā vo umaDtā huā dariyā kab tak
lag ke dīvār se ashk us ne bahāyā hogā
mujh ko mā'lūm hai ḳhud se vo laḌā hogā bahut
baḌī mushkil se mirā naqsh miTāyā hogā
saiñkaḌoñ kirchiyāñ āñkhoñ maiñ chubhī hoñgī tirī
TuuTe ḳhvāboñ kā janāza jo uThāyā hogā
vā'de jo mujh se kiye us ne sabhī toḌ diye
na sahī mujh se kisī se to nibhāyā hogā
mere jaisa koi apna nahin paya hoga
chand ko dukhDa tabhi us ne sunaya hoga
guftugu hans ke wo karta hai har ek se lekin
dard dil ka kabhi lahje mein bhi aaya hoga
meri yaaden to darichon se bhi ja sakti hain
qufl to us ne dar-e-dil pe lagaya hoga
rok pata wo umaDta hua dariya kab tak
lag ke diwar se ashk us ne bahaya hoga
mujh ko ma'lum hai KHud se wo laDa hoga bahut
baDi mushkil se mera naqsh miTaya hoga
sainkaDon kirchiyan aankhon main chubhi hongi teri
TuTe KHwabon ka janaza jo uThaya hoga
wa'de jo mujh se kiye us ne sabhi toD diye
na sahi mujh se kisi se to nibhaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.