mere jazbon ka wo meyar nahin ho sakta
mere jazboñ kā vo me'yār nahīñ ho saktā
'aks paanī meñ giraftār nahīñ ho saktā
ye to ham aise musāfir yahāñ aa.e the kabhī
varna sahrā kabhī gulzār nahīñ ho saktā
maiñ mohabbat huuñ mohabbat hī 'ibādat hai mirī
maiñ kisī se kabhī bezār nahīñ ho saktā
tere baare meñ mirī apnī bhī raa.e hai koī
aur is raa.e se inkār nahīñ ho saktā
jis ko raste kā pata ho na ho manzil kā surāġh
vo kabhī qāfila-sālār nahīñ ho saktā
vo jo haq baat sar-e-dār nahīñ kah paayā
aur hogā koī 'sarshār' nahīñ ho saktā
mere jazbon ka wo me'yar nahin ho sakta
'aks pani mein giraftar nahin ho sakta
ye to hum aise musafir yahan aae the kabhi
warna sahra kabhi gulzar nahin ho sakta
main mohabbat hun mohabbat hi 'ibaadat hai meri
main kisi se kabhi bezar nahin ho sakta
tere bare mein meri apni bhi rae hai koi
aur is rae se inkar nahin ho sakta
jis ko raste ka pata ho na ho manzil ka suragh
wo kabhi qafila-salar nahin ho sakta
wo jo haq baat sar-e-dar nahin kah paya
aur hoga koi 'sarshaar' nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.