mere jazbon ko rawani se nikal jaana hai
mere jazboñ ko ravānī se nikal jaanā hai
kah rahe haiñ hameñ paanī se nikal jaanā hai
baat karte hue lahja ye batātā hai tirā
ham ko ik roz kahānī se nikal jaanā hai
is janam-din ye udāsī mujhe khā jā.egī
do baras baad javānī se nikal jaanā hai
tere har tohfe ko kamre se judā kar ke ab
terī har ek nishānī se nikal jaanā hai
āḳhirī ashk the tere liye mere aañsū
ab ye bahte hue paanī se nikal jaanā hai
ye ajab zid hai ajab taur kī farmā.ish hai
raat ko raat kī raanī se nikal jaanā hai
mere jazbon ko rawani se nikal jaana hai
kah rahe hain hamein pani se nikal jaana hai
baat karte hue lahja ye batata hai tera
hum ko ek roz kahani se nikal jaana hai
is janam-din ye udasi mujhe kha jaegi
do baras baad jawani se nikal jaana hai
tere har tohfe ko kamre se juda kar ke ab
teri har ek nishani se nikal jaana hai
aaKHiri ashk the tere liye mere aansu
ab ye bahte hue pani se nikal jaana hai
ye ajab zid hai ajab taur ki farmaish hai
raat ko raat ki rani se nikal jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.