mere kandhe pe kisi KHwab ka sar rakkha raha
mere kāñdhe pe kisī ḳhvāb kā sar rakkhā rahā
aur āñkhoñ meñ sahar hone kā Dar rakkhā rahā
maiñ bhaTaktā hī rahā bhuuk ke sahrāoñ meñ
mere kamre meñ sajā merā hunar rakkhā rahā
kuchh zarūrat ke sabab mil to ga.e ham donoñ
dil pe ik bojh bichhaḌne kā magar rakkhā rahā
lau charāġhoñ kī tire kapḌe jalā saktī hai
chāñd tāroñ pe tirā dhyān agar rakkhā rahā
'umr-bhar bhaTke tamanna liye 'nādir' ghar kī
ek kāġhaz pe magar jeb meñ ghar rakkhā rahā
mere kandhe pe kisi KHwab ka sar rakkha raha
aur aankhon mein sahar hone ka Dar rakkha raha
main bhaTakta hi raha bhuk ke sahraon mein
mere kamre mein saja mera hunar rakkha raha
kuchh zarurat ke sabab mil to gae hum donon
dil pe ek bojh bichhaDne ka magar rakkha raha
lau charaghon ki tere kapDe jala sakti hai
chand taron pe tera dhyan agar rakkha raha
'umr-bhar bhaTke tamanna liye 'nadir' ghar ki
ek kaghaz pe magar jeb mein ghar rakkha raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.