mere kandhon pe un ka chehra numud pae
mere kāñdhoñ pe un kā chehra numūd paa.e
to ain-mumkin hai merī hastī vajūd paa.e
ye apne murshid se maiñ ne sīkhā hai girya karnā
usī kī nisbat se phir haqīqī sujūd paa.e
nisār us ḳhvāb ke huī hai jo diid un kī
ki jis kī ta.abīr se laboñ ne darūd paa.e
ye hausla hī to hai hamārā vagarna kyā hai
ham ishq vaale jo is talātum meñ kuud paa.e
badan zamīñ par uge vo kuchh is tarah se 'tāriq'
ki us ke paikar meñ merī miTTī vajūd paa.e
mere kandhon pe un ka chehra numud pae
to ain-mumkin hai meri hasti wajud pae
ye apne murshid se main ne sikha hai girya karna
usi ki nisbat se phir haqiqi sujud pae
nisar us KHwab ke hui hai jo did un ki
ki jis ki tabir se labon ne darud pae
ye hausla hi to hai hamara wagarna kya hai
hum ishq wale jo is talatum mein kud pae
badan zamin par uge wo kuchh is tarah se 'tariq'
ki us ke paikar mein meri miTTi wajud pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.