mere KHwabon ko samundar mein baha deta hai
mere ḳhvāboñ ko samundar meñ bahā detā hai
vo mohabbat bhī farā.ez meñ nibhā detā hai
faisla tum ne hī karnā hai magar jaane kyuuñ
koī lamha tumheñ mansab se haTā detā hai
mere to apne ravayye hī mire dushman haiñ
jo bhī miltā hai vo jiine kī duā detā hai
us se ḳhud apnī bhī sūrat nahīñ dekhī jaatī
vaqt insān ko kuchh aisā banā detā hai
haañ ye sachchā.ī mohabbat mire na.are the magar
har baḌā bol baḌī saḳht sazā detā hai
aaj dekhūñ to zarā dariyā-dilī bhī us kī
vo mujhe zindagī bhar ke liye kyā detā hai
mere KHwabon ko samundar mein baha deta hai
wo mohabbat bhi faraez mein nibha deta hai
faisla tum ne hi karna hai magar jaane kyun
koi lamha tumhein mansab se haTa deta hai
mere to apne rawayye hi mere dushman hain
jo bhi milta hai wo jine ki dua deta hai
us se KHud apni bhi surat nahin dekhi jati
waqt insan ko kuchh aisa bana deta hai
han ye sachchai mohabbat mere nare the magar
har baDa bol baDi saKHt saza deta hai
aaj dekhun to zara dariya-dili bhi us ki
wo mujhe zindagi bhar ke liye kya deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.