mere kuche se tajalli ko churaate hue log
mere kūche se tajallī ko churāte hue log
zulmat-e-shab tirī tāsīr baḌhāte hue log
liye baiThe haiñ tasavvur meñ koī gahrā nishāñ
surḳh alfāz se tasvīr banāte hue log
terī galiyoñ meñ akelā hī rahā thā lekin
ab nahīñ dekhte mujh ko yahāñ aate hue log
jin kī qabroñ pe kabhī fātiha paḌhtā nahīñ maiñ
mere maazī kā vahī qissa sunāte hue log
mere jaisoñ ko to bāzār meñ aane na diyā
rāsta tere ta'āqub meñ sajāte hue log
hāfiza merā siyah raat ke mānind huā
ab mujhe yaad nahīñ chāñd dikhāte hue log
ye jo qātil haiñ tire in kī to chal ḳhair nahīñ
par tire naam se hangāma uThāte hue log
niiñd dīvār pe laTkā ke rakhī hai 'sayyad'
aur bistar pe haiñ ḳhvāboñ ko nachāte hue log
mere kuche se tajalli ko churaate hue log
zulmat-e-shab teri tasir baDhate hue log
liye baiThe hain tasawwur mein koi gahra nishan
surKH alfaz se taswir banate hue log
teri galiyon mein akela hi raha tha lekin
ab nahin dekhte mujh ko yahan aate hue log
jin ki qabron pe kabhi fatiha paDhta nahin main
mere mazi ka wahi qissa sunate hue log
mere jaison ko to bazar mein aane na diya
rasta tere ta'aqub mein sajate hue log
hafiza mera siyah raat ke manind hua
ab mujhe yaad nahin chand dikhate hue log
ye jo qatil hain tere in ki to chal KHair nahin
par tere nam se hangama uThate hue log
nind diwar pe laTka ke rakhi hai 'sayyad'
aur bistar pe hain KHwabon ko nachate hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.