mere lafzon par na ja aaraish-e-guftar dekh
mere lafzoñ par na jā ārā.ish-e-guftār dekh
raushnī kyā dekhtā hai sho.ala-e-afkār dekh
be-sabab hai ḳhār-o-ḳhas par hī nazar rakhne kī baat
dāvat-e-nazzārgī detā huā gulzār dekh
ab to is ghar ke liye taaza havā ke saath saath
raushnī bhī lā.egī girtī huī dīvār dekh
is khañDar par ik na.ī bastī basā.ī jā.egī
dekh mat āsār kā manzar pas-e-āsār dekh
har ghaḌī kī sādgī se kaam chal saktā nahīñ
maslahat se Daal dete haiñ kabhī talvār dekh
mere lafzon par na ja aaraish-e-guftar dekh
raushni kya dekhta hai shoala-e-afkar dekh
be-sabab hai KHar-o-KHas par hi nazar rakhne ki baat
dawat-e-nazzargi deta hua gulzar dekh
ab to is ghar ke liye taza hawa ke sath sath
raushni bhi laegi girti hui diwar dekh
is khanDar par ek nai basti basai jaegi
dekh mat aasar ka manzar pas-e-asar dekh
har ghaDi ki sadgi se kaam chal sakta nahin
maslahat se Dal dete hain kabhi talwar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.