mere lahje mein mere zaKHm ki gahrai hai
mere lahje meñ mire zaḳhm kī gahrā.ī hai
raushnī raat ke āñgan meñ utar aa.ī hai
phir mujhe pyaar ke sāhil pe Thaharnā hogā
phir tire dil ke dhaḌakne kī sadā aa.ī hai
dar-o-dīvār pe kuchh aks utar aate haiñ
mere ghar meñ ajab andāz kī tanhā.ī hai
sirf phūloñ meñ nahīñ haiñ tere chehre ke rañg
māh-e-nau bhī tirī Thahrī huī añgḌā.ī hai
vo sabā sab jise āvāra kahā karte haiñ
tere āñchal kī mahak mere liye laa.ī hai
qahqaha-bār raho shola-e-ġham se na Daro
varna is shahr-e-hunar meñ baḌī rusvā.ī hai
mere lahje mein mere zaKHm ki gahrai hai
raushni raat ke aangan mein utar aai hai
phir mujhe pyar ke sahil pe Thaharna hoga
phir tere dil ke dhaDakne ki sada aai hai
dar-o-diwar pe kuchh aks utar aate hain
mere ghar mein ajab andaz ki tanhai hai
sirf phulon mein nahin hain tere chehre ke rang
mah-e-nau bhi teri Thahri hui angDai hai
wo saba sab jise aawara kaha karte hain
tere aanchal ki mahak mere liye lai hai
qahqaha-bar raho shola-e-gham se na Daro
warna is shahr-e-hunar mein baDi ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.