mere liye wo shaKHs musibat bhi bahut hai
mere liye vo shaḳhs musībat bhī bahut hai
sach ye bhī hai us kī mujhe aadat bhī bahut hai
miltā hai agar ḳhvāb meñ miltā to hai koī
us kī ye ināyat ye muravvat bhī bahut hai
us ne mujhe samjhā thā kabhī pyaar ke qābil
ḳhush rahnā ho to itnī masarrat bhī bahut hai
ulfat kā nibhānā to baḌī baat hai lekin
is daur meñ iz.hār-e-mohabbat bhī bahut hai
jaane pe ba-zid hai to kahūñ is ke sivā kyā
ai dost tirī itnī rifāqat bhī bahut hai
ik fāsla qaa.em hai ba-dastūr ba-har-hāl
hāsil mujhe us shaḳhs kī qurbat bhī bahut hai
jiinā to paḌegā hī baġhair us ke bhī 'rūhī'
hālāñki mujhe us kī zarūrat bhī bahut hai
mere liye wo shaKHs musibat bhi bahut hai
sach ye bhi hai us ki mujhe aadat bhi bahut hai
milta hai agar KHwab mein milta to hai koi
us ki ye inayat ye murawwat bhi bahut hai
us ne mujhe samjha tha kabhi pyar ke qabil
KHush rahna ho to itni masarrat bhi bahut hai
ulfat ka nibhana to baDi baat hai lekin
is daur mein izhaar-e-mohabbat bhi bahut hai
jaane pe ba-zid hai to kahun is ke siwa kya
ai dost teri itni rifaqat bhi bahut hai
ek fasla qaem hai ba-dastur ba-har-haal
hasil mujhe us shaKHs ki qurbat bhi bahut hai
jina to paDega hi baghair us ke bhi 'ruhi'
haalanki mujhe us ki zarurat bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.