mere moti hain KHazaf KHak hai mera sona
mere motī haiñ ḳhazaf ḳhaak hai merā sonā
merī tahrīr ko aayā na qasīda honā
kab talak saañp ke pahre kā tamāshā ai dil
merā ghar hai mire ajdād kā chāñdī sonā
āḳhirī daav lagāne kī ghaḌī aa pahuñchī
bas bahut khel chuke khel ye paanā khonā
maiñ ḳhudāoñ kī safoñ ke huuñ muqābil tanhā
dekh le mere ḳhudā ye mirā banda honā
ashk-e-dariyā se ye sairāb hai phir bhī ḳhālī
mere mālik mirī miTTī meñ tahammul honā
mere moti hain KHazaf KHak hai mera sona
meri tahrir ko aaya na qasida hona
kab talak sanp ke pahre ka tamasha ai dil
mera ghar hai mere ajdad ka chandi sona
aaKHiri daw lagane ki ghaDi aa pahunchi
bas bahut khel chuke khel ye pana khona
main KHudaon ki safon ke hun muqabil tanha
dekh le mere KHuda ye mera banda hona
ashk-e-dariya se ye sairab hai phir bhi KHali
mere malik meri miTTi mein tahammul hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.