mere na hoiye mujhe apna na kijiye
mere na hoiye mujhe apna na kijiye
Hakim Mazhar Subhan Usmani
MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani
mere na hoiye mujhe apnā na kījiye
lekin mazāq-e-husn ko rusvā na kījiye
dil to ye kah rahā hai ki un se gila karūñ
ġhairat ye kah rahī he ki shikva na kījiye
TūTegā nafs kā ye tasalsul ḳhabar nahīñ
chaltī huī havā kā bharosa na kījiye
zālim se gulsitāñ ko bachānā zarūr hai
kuchh gul masal ga.e haiñ to parvā na kījiye
hai aaj tez dhuup meñ himmat kā imtihāñ
is vaqt aap zulf kā saaya na kījiye
'maz.har' vo but-kada ho kalīsā ho yā haram
jab tak na dil jhuke kahīñ sajda na kījiye
mere na hoiye mujhe apna na kijiye
lekin mazaq-e-husn ko ruswa na kijiye
dil to ye kah raha hai ki un se gila karun
ghairat ye kah rahi he ki shikwa na kijiye
TuTega nafs ka ye tasalsul KHabar nahin
chalti hui hawa ka bharosa na kijiye
zalim se gulsitan ko bachana zarur hai
kuchh gul masal gae hain to parwa na kijiye
hai aaj tez dhup mein himmat ka imtihan
is waqt aap zulf ka saya na kijiye
'mazhar' wo but-kada ho kalisa ho ya haram
jab tak na dil jhuke kahin sajda na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.