mere nalon ko tum kahte ho ye kamzor nale hain
mere nāloñ ko tum kahte ho ye kamzor naale haiñ
inhīñ nāloñ se chūtaḌ āsmāñ ke phaaḌ Daale haiñ
adū kī maañ hai gorī aur vālid is ke kaale haiñ
isī baa.is unhoñ ne ablaqī bachche nikāle haiñ
gale meñ pā.ejāma sar pe juute paañv meñ Topī
tumhāre vahshiyoñ ke ThaaT duniyā se nirāle haiñ
ḳhudā rakkhe salāmat saale tere tīr-e-mizhgān ko
jo ghaT jaa.eñ to chhuriyāñ haiñ jo baḌh jaa.eñ to bhāle haiñ
mire Dasne ko tū ne do jagah par naag paale haiñ
tere nīche bhī kaale haiñ tere uupar bhī kaale haiñ
mavād itnā huā paidā mire zaḳhmoñ meñ risne se
jo ghaT jaa.eñ to sho.ala haiñ jo baḌh jaa.eñ to chhāle haiñ
mere nalon ko tum kahte ho ye kamzor nale hain
inhin nalon se chutaD aasman ke phaD Dale hain
adu ki man hai gori aur walid is ke kale hain
isi bais unhon ne ablaqi bachche nikale hain
gale mein paejama sar pe jute panw mein Topi
tumhaare wahshiyon ke ThaT duniya se nirale hain
KHuda rakkhe salamat sale tere tir-e-mizhgan ko
jo ghaT jaen to chhuriyan hain jo baDh jaen to bhaale hain
mere Dasne ko tu ne do jagah par nag pale hain
tere niche bhi kale hain tere upar bhi kale hain
mawad itna hua paida mere zaKHmon mein risne se
jo ghaT jaen to shoala hain jo baDh jaen to chhaale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.