mere pahlu mein kisi jism ka saya tha magar
mere pahlū meñ kisī jism kā saaya thā magar
vo mire paas bahut duur se aayā thā magar
parda haTte hī vahī dekhī dikhā.ī filmeñ
rasm-e-duniyā kā vahī khel-tamāsha thā magar
ab kahāñ mauj-e-sar-e-dahr meñ lafzoñ kā bhañvar
varna miTTī to batātī hai ki dariyā thā magar
jaḌ ukhaḌne pe kahāñ sā’at-e-sabz aa.ī hai
mujh pe bādal to bahut zor se barsā thā magar
ḳhud se bichhḌe hue ik aur baras biit gayā
apne andar se nikalte hue royā thā magar
kaun tā-'umr falak-bos rahā hogā 'ḳhalīl'
varna aflāk se rishta mirā dohrā thā magar
mere pahlu mein kisi jism ka saya tha magar
wo mere pas bahut dur se aaya tha magar
parda haTte hi wahi dekhi dikhai filmen
rasm-e-duniya ka wahi khel-tamasha tha magar
ab kahan mauj-e-sar-e-dahr mein lafzon ka bhanwar
warna miTTi to batati hai ki dariya tha magar
jaD ukhaDne pe kahan sa’at-e-sabz aai hai
mujh pe baadal to bahut zor se barsa tha magar
KHud se bichhDe hue ek aur baras bit gaya
apne andar se nikalte hue roya tha magar
kaun ta-'umr falak-bos raha hoga 'KHalil'
warna aflak se rishta mera dohra tha magar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.