Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere qisse jab parindon ne sune uDne lage

Shahabullah Shahab

mere qisse jab parindon ne sune uDne lage

Shahabullah Shahab

MORE BYShahabullah Shahab

    mere qisse jab parindoñ ne sune uḌne lage

    kahkashāñ misl raahī ko sabhī raste lage

    haar kar vo jān-o-dil bhī ḳhush haiñ tere shahr meñ

    'āshiqoñ ko mahñge saude bhī bahut saste lage

    ḳhud bane īñdhan chaman meñ aag phūloñ ko lagī

    jāgtī āñkhoñ ke mujh ko ḳhvāb bhī sho'le lage

    dāstāñ-go se shikāyat rahegī 'umr bhar

    shab ne to karvaT na badlī log kyoñ sone lage

    sabz shāḳhoñ par sulagte phuul kaliyāñ dekh kar

    mundamil jo zaḳhm ho vo zaḳhm bhī risne lage

    aadmī sab se muqaddam hai yahī samjhā huuñ maiñ

    'ārzī har ik riyāzat meñ mujhe rishte lage

    bārhā aisā huā dil se shihāb-e-ġham uThā

    dostoñ ne jab sunā pāgal mujhe kahne lage

    mere qisse jab parindon ne sune uDne lage

    kahkashan ki misl rahi ko sabhi raste lage

    haar kar wo jaan-o-dil bhi KHush hain tere shahr mein

    'ashiqon ko mahnge saude bhi bahut saste lage

    KHud bane indhan chaman mein aag phulon ko lagi

    jagti aankhon ke mujh ko KHwab bhi sho'le lage

    dastan-go se shikayat hi rahegi 'umr bhar

    shab ne to karwaT na badli log kyon sone lage

    sabz shaKHon par sulagte phul kaliyan dekh kar

    mundamil jo zaKHm ho wo zaKHm bhi risne lage

    aadmi sab se muqaddam hai yahi samjha hun main

    'arzi har ek riyazat mein mujhe rishte lage

    barha aisa hua dil se shihab-e-gham uTha

    doston ne jab suna pagal mujhe kahne lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now