mere suKHan ko dard ka uslub mil gaya

mere suKHan ko dard ka uslub mil gaya
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
mere suḳhan ko dard kā uslūb mil gayā
yā'nī ġhazal ko lahja-e-matlūb mil gayā
sāz-e-ġhazal ko husn-e-ġhazal kī talāsh thī
sāz-e-ġhazal ko naġhma-e-marġhūb mil gayā
vo shaḳhs kyoñ na ḳhuld-e-barīñ se ho be-niyāz
qismat se jis ko aap sā mahbūb mil gayā
josh-e-fanā kā zauq chhupā.e na chhup sakā
le ai salīb ab tirā maslūb mil gayā
har ek ko talāsh yahāñ ḳhūb-tar kī hai
maiñ ḳhush-nasīb huuñ ki bahut ḳhuub mil gayā
duniyā meñ aur phir mujhe kyā chāhiye 'adīb'
thā jo bhī mere naam se mansūb mil gayā
mere suKHan ko dard ka uslub mil gaya
ya'ni ghazal ko lahja-e-matlub mil gaya
saz-e-ghazal ko husn-e-ghazal ki talash thi
saz-e-ghazal ko naghma-e-marghub mil gaya
wo shaKHs kyon na KHuld-e-barin se ho be-niyaz
qismat se jis ko aap sa mahbub mil gaya
josh-e-fana ka zauq chhupae na chhup saka
le ai salib ab tera maslub mil gaya
har ek ko talash yahan KHub-tar ki hai
main KHush-nasib hun ki bahut KHub mil gaya
duniya mein aur phir mujhe kya chahiye 'adib'
tha jo bhi mere nam se mansub mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.