mere tere milne ka kuchh uslub nahin hai
mere tire milne kā kuchh uslūb nahīñ hai
juz girya koī chāra-e-marġhūb nahīñ hai
ro ro ke maiñ kahtā huuñ tū hañs hañs nahīñ suntā
shoḳhī tirī ai yaar nipat ḳhuub nahīñ hai
rotā rahā maiñ hañste hī dil le gayā merā
ye shoḳh nipat shoḳh hai mahjūb nahīñ hai
darbāñ mujhe kyoñ dar se nikāle hai shab-o-roz
juz is ke koī apnā to marġhūb nahīñ hai
yāqūt-o-guhar kuuT ke aapas meñ bhare haiñ
vallah ki tirī chashm pur-āshob nahīñ hai
nāseh kī sune kaun hikāyāt nasā.eh
maġhz is kā nipat ḳhushk hai martūb nahīñ hai
sunte the ki bad-ḳhū hai 'alī' vo but-e-kāfir
dekhā to koī us se ḳhush-uslūb nahīñ hai
mere tere milne ka kuchh uslub nahin hai
juz girya koi chaara-e-marghub nahin hai
ro ro ke main kahta hun tu hans hans nahin sunta
shoKHi teri ai yar nipat KHub nahin hai
rota raha main hanste hi dil le gaya mera
ye shoKH nipat shoKH hai mahjub nahin hai
darban mujhe kyon dar se nikale hai shab-o-roz
juz is ke koi apna to marghub nahin hai
yaqut-o-guhar kuT ke aapas mein bhare hain
wallah ki teri chashm pur-ashob nahin hai
naseh ki sune kaun hikayat nasaeh
maghz is ka nipat KHushk hai martub nahin hai
sunte the ki bad-KHu hai 'ali' wo but-e-kafir
dekha to koi us se KHush-uslub nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.