mere to roz-o-shab se KHasara nahin gaya
mere to roz-o-shab se ḳhasāra nahīñ gayā
shāyad ki tum ko dil se pukārā nahīñ gayā
be-rabt ho ga.ī hai tire baad is tarah
phir zindagī ko ham se guzārā nahīñ gayā
mahfūz merī āñkheñ meñ ruḳhsat kā vaqt hai
in donoñ khiḌkiyoñ se nazāra nahīñ gayā
chehre pe hai ayaañ vahī tahrīr-e-dil-shikast
mujh se to aur ruup bhī dhārā nahīñ gayā
kashtī vafā kī Duubī to bahr-e-yaqīn meñ
maujeñ ga.ī haiñ saath kināra nahīñ gayā
TuuTā falak se jo bhī zamīñ-zād ban gayā
vāpas palaT ke phir vo sitāra nahīñ gayā
ai 'hādia' sañvār dī duniyā kī rahguzār
lekin nasīb apnā sañvārā nahīñ gayā
mere to roz-o-shab se KHasara nahin gaya
shayad ki tum ko dil se pukara nahin gaya
be-rabt ho gai hai tere baad is tarah
phir zindagi ko hum se guzara nahin gaya
mahfuz meri aankhen mein ruKHsat ka waqt hai
in donon khiDkiyon se nazara nahin gaya
chehre pe hai ayan wahi tahrir-e-dil-shikast
mujh se to aur rup bhi dhaara nahin gaya
kashti wafa ki Dubi to bahr-e-yaqin mein
maujen gai hain sath kinara nahin gaya
TuTa falak se jo bhi zamin-zad ban gaya
wapas palaT ke phir wo sitara nahin gaya
ai 'hadia' sanwar di duniya ki rahguzar
lekin nasib apna sanwara nahin gaya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.