mere uljhe hue baalon ko sanwara kyon hai
mere uljhe hue bāloñ ko sañvārā kyoñ hai
terī āñkhoñ meñ vahī ḳhvāb-e-zuleḳhā kyoñ hai
kam nahīñ majma.a-e-daryūza-garān-e-ulfat
ai mire chāhne vaale mujhe chāhā kyoñ hai
nang-e-hastī hī nahīñ nang-e-zamāna maiñ huuñ
sajda-e-shauq kā phir mujh se taqāzā kyoñ hai
maiñ to ashkoñ ke sivā kuchh bhī tujhe de na sakā
is qadar pyaar se āḳhir mujhe dekhā kyoñ hai
ab talak jo dil-e-betāb ko bahlā na sakeñ
unhīñ mauhūm umīdoñ kā sahārā kyoñ hai
kyā abhī tak na huī rang-e-zamāna kī ḳhabar
shahr-yāroñ meñ mire ishq kā charchā kyoñ hai
dil-e-dīvāna meñ ik sham.a to jal uTThī hai
dil-e-dīvāna ko andesha-e-fardā kyoñ hai
azmat-e-ishq kā ai dost bharam rakhnā hai
zarre zarre pe ye aks-e-chaman-ārā kyoñ hai
dil meñ rakkhā hai aur āñkhoñ meñ basāyā hai magar
terā 'iqbāl' tire pyaar se Dartā kyoñ hai
mere uljhe hue baalon ko sanwara kyon hai
teri aankhon mein wahi KHwab-e-zuleKHa kyon hai
kam nahin majma-e-daryuza-garan-e-ulfat
ai mere chahne wale mujhe chaha kyon hai
nang-e-hasti hi nahin nang-e-zamana main hun
sajda-e-shauq ka phir mujh se taqaza kyon hai
main to ashkon ke siwa kuchh bhi tujhe de na saka
is qadar pyar se aaKHir mujhe dekha kyon hai
ab talak jo dil-e-betab ko bahla na saken
unhin mauhum umidon ka sahaara kyon hai
kya abhi tak na hui rang-e-zamana ki KHabar
shahr-yaron mein mere ishq ka charcha kyon hai
dil-e-diwana mein ek shama to jal uTThi hai
dil-e-diwana ko andesha-e-farda kyon hai
azmat-e-ishq ka ai dost bharam rakhna hai
zarre zarre pe ye aks-e-chaman-ara kyon hai
dil mein rakkha hai aur aankhon mein basaya hai magar
tera 'iqbaal' tere pyar se Darta kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.