mere zaKHmon ko jalane ka irada hai kya
mere zaḳhmoñ ko jalāne kā irāda hai kyā
phir jise toḌ sako aisā ye vā'da hai kyā
koī maqtal meñ na aayā hai uThāne ke liye
ek malika ne jise maarā vo pyāda hai kyā
hosh ko hosh meñ aane de ubalte hue ashk
kyoñ ġham-e-yār pilāte ho ye baada hai kyā
dekh terī hī talab dil ke sivā jaañ bhī kare
tū ne samjhā hī nahīñ itnā hī saada hai kyā
zaḳhm-dar-zaḳhm huī ruuh badan se pūchhe
khaal se ḳhuun Tapaktā ye labāda hai kyā
kāsa-e-dil ko tire dar pe rakhā hai kab se
jhāñk rauzan se batā terā irāda hai kyā
har ghaḌī mere ḳhad-o-ḳhāl badalte jaa.eñ
chehra jhaḌtā hai havā se ye burāda hai kyā
mere zaKHmon ko jalane ka irada hai kya
phir jise toD sako aisa ye wa'da hai kya
koi maqtal mein na aaya hai uThane ke liye
ek malika ne jise mara wo pyaada hai kya
hosh ko hosh mein aane de ubalte hue ashk
kyon gham-e-yar pilate ho ye baada hai kya
dekh teri hi talab dil ke siwa jaan bhi kare
tu ne samjha hi nahin itna hi sada hai kya
zaKHm-dar-zaKHm hui ruh badan se puchhe
khaal se KHun Tapakta ye labaada hai kya
kasa-e-dil ko tere dar pe rakha hai kab se
jhank rauzan se bata tera irada hai kya
har ghaDi mere KHad-o-KHal badalte jaen
chehra jhaDta hai hawa se ye burada hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.