mere zaKHmon meri ruswai ko wapas le le
mere zaḳhmoñ mirī rusvā.ī ko vāpas le le
is sulagtī huī tanhā.ī ko vāpas le le
ilm aa.e na agar kaam kisī muflis ke
aa ke mujh se mirī dānā.ī ko vāpas le le
yā to sach kahne pe suqrāt ko maare na koī
yā to sansār se sachchā.ī ko vāpas le le
chīḳh uTThe haiñ mire ghar ke ye ḳhālī bartan
ab to bāzār se mahñgā.ī ko vāpas le le
yā to har samt ye dahshat ke nazāre na dikhā
yā mirī āñkhoñ se bīnā.ī ko vāpas le le
yā to insān ke har zaḳhm ko bhar de maulā
yā to duniyā se masīhā.ī ko vāpas le le
shāhid-e-jurm ho phir bhī na lahū khaul uThe
aise ḳhāmosh tamāshā.ī ko vāpas le le
bazm-e-bātil meñ bhī himmat rahe haq-goī kī
yā mirī tāqat-e-goyā.ī ko vāpas le le
mere zaKHmon meri ruswai ko wapas le le
is sulagti hui tanhai ko wapas le le
ilm aae na agar kaam kisi muflis ke
aa ke mujh se meri danai ko wapas le le
ya to sach kahne pe suqraat ko mare na koi
ya to sansar se sachchai ko wapas le le
chiKH uTThe hain mere ghar ke ye KHali bartan
ab to bazar se mahngai ko wapas le le
ya to har samt ye dahshat ke nazare na dikha
ya meri aankhon se binai ko wapas le le
ya to insan ke har zaKHm ko bhar de maula
ya to duniya se masihai ko wapas le le
shahid-e-jurm ho phir bhi na lahu khaul uThe
aise KHamosh tamashai ko wapas le le
bazm-e-baatil mein bhi himmat rahe haq-goi ki
ya meri taqat-e-goyai ko wapas le le
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 17)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.