meri aahon mein asar ho ye zaruri to nahin
meri aahon mein asar ho ye zaruri to nahin
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
MORE BYMohsin Ummeedi Burhanpuri
merī aahoñ meñ asar ho ye zarūrī to nahīñ
dard kī sab ko ḳhabar ho ye zarūrī to nahīñ
ishq taslīm magar tāj-mahal ke jaisā
har kisī shaḳhs kā ghar ho ye zarūrī to nahīñ
sab kī nazroñ ke muqābil nahīñ jalve tere
sab ko me.arāj-e-nazar ho ye zarūrī to nahīñ
har kisī kā to muqaddar nahīñ hote aañsū
aañkh har ek kī tar ho ye zarūrī to nahīñ
kuchh nahīñ hai mirī nazroñ meñ ye duniyā 'mohsin'
is kā ehsāñ mire sar ho ye zarūrī to nahīñ
meri aahon mein asar ho ye zaruri to nahin
dard ki sab ko KHabar ho ye zaruri to nahin
ishq taslim magar taj-mahal ke jaisa
har kisi shaKHs ka ghar ho ye zaruri to nahin
sab ki nazron ke muqabil nahin jalwe tere
sab ko mearaj-e-nazar ho ye zaruri to nahin
har kisi ka to muqaddar nahin hote aansu
aankh har ek ki tar ho ye zaruri to nahin
kuchh nahin hai meri nazron mein ye duniya 'mohsin'
is ka ehsan mere sar ho ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.