meri aamad pe sajate the jo rasta mera
merī aamad pe sajāte the jo rasta merā
dil kiyā hai unhī hāthoñ ne shikasta merā
bhiiḌ ko apne ḳhayālāt batā saktā nahīñ
varna ḳhuuñ paanī se ho jā.egā sastā merā
kaise tahzīb-e-‘azā-dārī samajh pā.egā
jis ne dekhā hī nahīñ mātamī dasta merā
bas isī zo'm meñ barbād kiyā hai ḳhud ko
maut ke kaam na aa.e tan-e-ḳhasta merā
roTī hotī na thī aur merī jamā'at ke dost
toḌ dete the bharam khol ke basta merā
lauT ke aa jā mujhe chhoḌ ke jaane vaale
dil tirī diid ko ab bhī hai tarastā merā
gar mujhe yaar ke pahlū meñ jagah mil jaatī
qahr ḳhud par na shab-o-roz barastā merā
ġhair-ābād 'ilāqe bhī basā.e maiñ ne
mujh se lekin dil-e-vīrāñ nahīñ bastā merā
phir kabhī haath na uTh paa.e du'ā kī ḳhātir
itnā dushman ne kiyā pahlū shikasta merā
maiñ ne jab duudh pilāyā thā mohabbat se use
kaise mumkin thā mujhe saañp na Dastā merā
meri aamad pe sajate the jo rasta mera
dil kiya hai unhi hathon ne shikasta mera
bhiD ko apne KHayalat bata sakta nahin
warna KHun pani se ho jaega sasta mera
kaise tahzib-e-‘aza-dari samajh paega
jis ne dekha hi nahin matami dasta mera
bas isi zo'm mein barbaad kiya hai KHud ko
maut ke kaam na aae tan-e-KHasta mera
roTi hoti na thi aur meri jama'at ke dost
toD dete the bharam khol ke basta mera
lauT ke aa ja mujhe chhoD ke jaane wale
dil teri did ko ab bhi hai tarasta mera
gar mujhe yar ke pahlu mein jagah mil jati
qahr KHud par na shab-o-roz barasta mera
ghair-abaad 'ilaqe bhi basae main ne
mujh se lekin dil-e-viran nahin basta mera
phir kabhi hath na uTh pae du'a ki KHatir
itna dushman ne kiya pahlu shikasta mera
main ne jab dudh pilaya tha mohabbat se use
kaise mumkin tha mujhe sanp na Dasta mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.