meri aankhen meri ninden mera paikar jage
merī āñkheñ mirī nīñdeñ mirā paikar jaage
dard so jaa.e to ehsās barābar jaage
din to ahbāb kī sūrat hai gurezāñ mujh se
raat aa.e to mire ġham meñ barābar jaage
kitne mānūs haiñ masjid ke shikasta gumbad
jab parinde nahīñ lauTe to ye shab-bhar jaage
jeTh kī dhuup ne jhulsā diye jin ke chehre
un daraḳhtoñ hī ke sāvan meñ muqaddar jaage
raat gulshan meñ 'ajab tarh kā māhaul rahā
peḌ sote rahe shāḳhoñ pe kabūtar jaage
kab se sāhil pe hai be-ḳhvāb barahna machhlī
phir shanāvar koī Duube to samundar jaage
jis ke ehsās ne jhulsā diye sūraj ke gulāb
merī āñkhoñ meñ usī dhuup ke manzar jaage
meri aankhen meri ninden mera paikar jage
dard so jae to ehsas barabar jage
din to ahbab ki surat hai gurezan mujh se
raat aae to mere gham mein barabar jage
kitne manus hain masjid ke shikasta gumbad
jab parinde nahin lauTe to ye shab-bhar jage
jeTh ki dhup ne jhulsa diye jin ke chehre
un daraKHton hi ke sawan mein muqaddar jage
raat gulshan mein 'ajab tarh ka mahaul raha
peD sote rahe shaKHon pe kabutar jage
kab se sahil pe hai be-KHwab barahna machhli
phir shanawar koi Dube to samundar jage
jis ke ehsas ne jhulsa diye suraj ke gulab
meri aankhon mein usi dhup ke manzar jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.