meri aankhon mein jhijakte hue KHwabon jaisa
merī āñkhoñ meñ jhijakte hue ḳhvāboñ jaisā
kaun hai 'aks ye kis kā hai hijāboñ jaisā
guftugū us kī mohabbat kī ‘ibārat jaise
zāviya us ke laboñ kā hai kitāboñ jaisā
jo bhī suntā hai vahī hosh gañvā detā hai
us kā andāz-e-takallum hai rabāboñ jaisā
aaj sūraj kī tarah hai sar-e-manzar raushan
merī āñkhoñ meñ jo ik shaḳhs thā ḳhvāboñ jaisā
us ke aariz pe hai ik mauj hijāboñ jaisī
us kī āñkhoñ meñ hai ik rang sharāboñ jaisā
mahkā mahkā sā ye māhaul batātā hai 'ḳhatīb'
anjuman meñ koī chehra hai gulāboñ jaisā
meri aankhon mein jhijakte hue KHwabon jaisa
kaun hai 'aks ye kis ka hai hijabon jaisa
guftugu us ki mohabbat ki ‘ibarat jaise
zawiya us ke labon ka hai kitabon jaisa
jo bhi sunta hai wahi hosh ganwa deta hai
us ka andaz-e-takallum hai rababon jaisa
aaj suraj ki tarah hai sar-e-manzar raushan
meri aankhon mein jo ek shaKHs tha KHwabon jaisa
us ke aariz pe hai ek mauj hijabon jaisi
us ki aankhon mein hai ek rang sharabon jaisa
mahka mahka sa ye mahaul batata hai 'KHatib'
anjuman mein koi chehra hai gulabon jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.