meri aankhon se KHwab le ke gaya
merī āñkhoñ se ḳhvāb le ke gayā
niiñd bhī mahtāb le ke gayā
chhoḌ kar tīrgī meñ kyoñ mujh ko
vo mirā āftāb le ke gayā
maiñ ne ġhībat jo kī thī us kī kabhī
badle merā savāb le ke gayā
de ke mujh ko vo hijr kī rāteñ
merā husn-e-shabāb le ke gayā
mujh ko ḳhanjar dikhā ke vo 'ahmad'
mere dil kī kitāb le ke gayā
meri aankhon se KHwab le ke gaya
nind bhi mahtab le ke gaya
chhoD kar tirgi mein kyon mujh ko
wo mera aaftab le ke gaya
main ne ghibat jo ki thi us ki kabhi
badle mera sawab le ke gaya
de ke mujh ko wo hijr ki raaten
mera husn-e-shabab le ke gaya
mujh ko KHanjar dikha ke wo 'ahmad'
mere dil ki kitab le ke gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.