meri aashufta tabiat ka sabab jaante hain
merī āshufta tabī'at kā sabab jānte haiñ
mujh ko kuchh log tire naam se ab jānte haiñ
ab bhī mansūb hai vo naam mire naam ke saath
ab bhī kuchh log use mere sabab jānte haiñ
tū ki nazroñ se hī kar detā hai sab ko achchhā
tere bīmār kahāñ koī matab jānte haiñ
ilm-o-hikmat meñ fazīlat kā hai dā'vā jhūTā
jitnā tum jānte ho utnā to sab jānte haiñ
jin kī harkat pe jahālat kā gumāñ hotā hai
un kā dā'vā hai ki vo log adab jānte haiñ
meri aashufta tabi'at ka sabab jaante hain
mujh ko kuchh log tere nam se ab jaante hain
ab bhi mansub hai wo nam mere nam ke sath
ab bhi kuchh log use mere sabab jaante hain
tu ki nazron se hi kar deta hai sab ko achchha
tere bimar kahan koi matab jaante hain
ilm-o-hikmat mein fazilat ka hai da'wa jhuTa
jitna tum jaante ho utna to sab jaante hain
jin ki harkat pe jahaalat ka guman hota hai
un ka da'wa hai ki wo log adab jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.