meri aawara-mizaji ko mukammal kar de
merī āvāra-mizājī ko mukammal kar de
ai ḳhudā dasht-e-tamannā mirā maqtal kar de
TūTte bante anāsir meñ ho tahrīk-e-kamāl
yā mujhe ḳhaak banā yā mujhe jal-thal kar de
na sahī lāla-o-gul nāla-e-bulbul na sahī
mujh ko gulshan nahīñ kartā hai to jañgal kar de
dil ko jhulsātā hai ik yaad kā sūraj kab se
yā-ḳhudā ab to kisī ḳhvāb ko bādal kar de
ab ke barsāt lagī āñkhoñ se andar kī taraf
ḳhauf ye hai ki mirā jism na daldal kar de
vo mujhe hosh meñ rakhtā hai taḌapne ke liye
bārhā maiñ ne kahā hai mujhe pāgal kar de
meri aawara-mizaji ko mukammal kar de
ai KHuda dasht-e-tamanna mera maqtal kar de
TuTte bante anasir mein ho tahrik-e-kamal
ya mujhe KHak bana ya mujhe jal-thal kar de
na sahi lala-o-gul nala-e-bulbul na sahi
mujh ko gulshan nahin karta hai to jangal kar de
dil ko jhulsata hai ek yaad ka suraj kab se
ya-KHuda ab to kisi KHwab ko baadal kar de
ab ke barsat lagi aankhon se andar ki taraf
KHauf ye hai ki mera jism na daldal kar de
wo mujhe hosh mein rakhta hai taDapne ke liye
barha main ne kaha hai mujhe pagal kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.