meri aawaz ke jadu ka asar hota hai
merī āvāz ke jaadū kā asar hotā hai
jaise tārīkī meñ jugnū kā safar hotā hai
merī chāhat ke safīne se judā hai sāhil
jis ne paayā hai zamāne se vahī khotā hai
ham sitāroñ ke nagar se kahīñ aage hoñge
chāñd āñgan meñ mire saath abhī sotā hai
us ke hāthoñ pe rakhī taḳhtī meñ likkhā kyā hai
kyoñ vo bachchoñ kī tarah ab bhī bahut rotā hai
meri aawaz ke jadu ka asar hota hai
jaise tariki mein jugnu ka safar hota hai
meri chahat ke safine se juda hai sahil
jis ne paya hai zamane se wahi khota hai
hum sitaron ke nagar se kahin aage honge
chand aangan mein mere sath abhi sota hai
us ke hathon pe rakhi taKHti mein likkha kya hai
kyon wo bachchon ki tarah ab bhi bahut rota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.