meri aawaz se aawaz milane wale
merī āvāz se āvāz milāne vaale
haiñ kahāñ shahr meñ tūfān uThāne vaale
phir sitāroñ kī chamak maañd paḌī jaatī hai
phir barahna huuñ khaḌā zaḳhm lagāne vaale
zard shahroñ meñ parindoñ ne panāheñ DhūñDīñ
sabz jangal meñ nayā jaal bichhāne vaale
rauñdtā hai mujhe kyoñ naqsh-e-qadam kī sūrat
merī pahchān hai kyā mujh ko miTāne vaale
aap ko mujh se mohabbat ho ilāhī tauba
apne ahbāb to haiñ baat banāne vaale
aur kuchh roz yahāñ Thahreñge badnām 'nazar'
phir kahāñ pāoge ash'ār sunāne vaale
meri aawaz se aawaz milane wale
hain kahan shahr mein tufan uThane wale
phir sitaron ki chamak mand paDi jati hai
phir barahna hun khaDa zaKHm lagane wale
zard shahron mein parindon ne panahen DhunDin
sabz jangal mein naya jal bichhane wale
raundta hai mujhe kyon naqsh-e-qadam ki surat
meri pahchan hai kya mujh ko miTane wale
aap ko mujh se mohabbat ho ilahi tauba
apne ahbab to hain baat banane wale
aur kuchh roz yahan Thahrenge badnam 'nazar'
phir kahan paoge ash'ar sunane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.