meri barbaadiyon ki ye taswir
merī barbādiyoñ kī ye tasvīr
gardish-e-vaqt kī hai ek lakīr
husn-e-tadbīr kī nigāhoñ se
dekh to apne baḳht kī tahrīr
duur kar de diloñ kī tārīkī
ai jamāl-e-ḳhulūs kī tanvīr
tum samajhte ho jin ko mīr-e-chaman
zulf-e-hirs-o-havā ke haiñ vo asiir
khā rahā huuñ fareb-e-āzādī
dekh kar paañv kī na.ī zanjīr
jhūTī tauqīr ke liye aksar
bech dete haiñ log apnā zamīr
kal bhī aa jā.egā magar 'zaḳhmī'
kitnī dhundlī hai aaj kī tasvīr
meri barbaadiyon ki ye taswir
gardish-e-waqt ki hai ek lakir
husn-e-tadbir ki nigahon se
dekh to apne baKHt ki tahrir
dur kar de dilon ki tariki
ai jamal-e-KHulus ki tanwir
tum samajhte ho jin ko mir-e-chaman
zulf-e-hirs-o-hawa ke hain wo asir
kha raha hun fareb-e-azadi
dekh kar panw ki nai zanjir
jhuTi tauqir ke liye aksar
bech dete hain log apna zamir
kal bhi aa jaega magar 'zaKHmi'
kitni dhundli hai aaj ki taswir
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 133)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.