meri basti mein shiwala bhi nahin hai koi
merī bastī meñ shivāla bhī nahīñ hai koī
ḳhvāh-maḳhvāh pūjne vaalā bhī nahīñ hai koī
roiye dil ko jigar pīTiye kuchh bhī kiije
hāl-e-dil pūchhne vaalā bhī nahīñ hai koī
aap manzil pe pahuñch aa.e haiñ mujh se pahle
aap ke paañv meñ chhālā bhī nahīñ hai koī
yuuñ musalsal mujhe ġhaddār na kahte jaa.eñ
aap ke paas havāla bhī nahīñ hai koī
ham namak-ḳhvār to urdu ke haiñ 'imrān' magar
ghar meñ urdu kā risāla bhī nahīñ hai koī
meri basti mein shiwala bhi nahin hai koi
KHwah-maKHwah pujne wala bhi nahin hai koi
roiye dil ko jigar piTiye kuchh bhi kije
haal-e-dil puchhne wala bhi nahin hai koi
aap manzil pe pahunch aae hain mujh se pahle
aap ke panw mein chhaala bhi nahin hai koi
yun musalsal mujhe ghaddar na kahte jaen
aap ke pas hawala bhi nahin hai koi
hum namak-KHwar to urdu ke hain 'imran' magar
ghar mein urdu ka risala bhi nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.