meri betabi ki us dil ko KHabar kyunkar ho
merī betābi kī us dil ko ḳhabar kyūñkar ho
aah kā dosto patthar meñ asar kyūñkar ho
na sirī is meñ na paikān jo khīñchūñ us ko
dil se bāhar ye mirā tīr-e-nazar kyūñkar ho
ek dam tujh se jo hote the judā rote the
sabr duurī meñ tirī aaTh pahar kyūñkar ho
ham-nashīñ shaġhl na hove jo hameñ rone kā
to bhalā hijr meñ auqāt basar kyūñkar ho
jeb siitā hai to kyā ye to batā ai nāseh
chaak ho jaave to paivand-e-jigar kyūñkar ho
sham.a saañ jal ke bujhe to bhī na dekhā us ne
kyā kareñ ab mutavajjah vo idhar kyūñkar ho
al-amāñ dekh ke dilbar ko malak kahte haiñ
aah phir ohda-barā is se bashar kyūñkar ho
tū rahe ġhair ke āġhosh meñ jab saarī raat
phir to rāhat hameñ ai rashk-e-qamar kyūñkar ho
na vo rangat hai na vo us meñ nazākat pyāre
tere hoñToñ se mushābah gul-e-tar kyūñkar ho
apne nazdīk bhī aane nahīñ detā vo mujhe
dil meñ aise but-e-ayyār ke ghar kyūñkar ho
Tuk sañbhāl apne ta.iiñ fā.eda ghabrā.e se
hijr kī raat hai 'afsos' sahar kyūñkar ho
meri betabi ki us dil ko KHabar kyunkar ho
aah ka dosto patthar mein asar kyunkar ho
na siri is mein na paikan jo khinchun us ko
dil se bahar ye mera tir-e-nazar kyunkar ho
ek dam tujh se jo hote the juda rote the
sabr duri mein teri aaTh pahar kyunkar ho
ham-nashin shaghl na howe jo hamein rone ka
to bhala hijr mein auqat basar kyunkar ho
jeb sita hai to kya ye to bata ai naseh
chaak ho jawe to paiwand-e-jigar kyunkar ho
shama san jal ke bujhe to bhi na dekha us ne
kya karen ab mutawajjah wo idhar kyunkar ho
al-aman dekh ke dilbar ko malak kahte hain
aah phir ohda-bara is se bashar kyunkar ho
tu rahe ghair ke aaghosh mein jab sari raat
phir to rahat hamein ai rashk-e-qamar kyunkar ho
na wo rangat hai na wo us mein nazakat pyare
tere honTon se mushabah gul-e-tar kyunkar ho
apne nazdik bhi aane nahin deta wo mujhe
dil mein aise but-e-ayyar ke ghar kyunkar ho
Tuk sanbhaal apne tain faeda ghabrae se
hijr ki raat hai 'afsos' sahar kyunkar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.