meri dastan-e-ghazal ne ab mere gham sabhi ko bata diye
meri dastan-e-ghazal ne ab mere gham sabhi ko bata diye
Niddhi Gupta Kashish
MORE BYNiddhi Gupta Kashish
merī dāstān-e-ġhazal ne ab mere ġham sabhī ko batā diye
jo chhupā rahī thī maiñ ab talak vahī rāz-e-dil lo dikhā diye
bhalā ghūmtī maiñ kahāñ kahāñ liye zaḳhm-e-dil tere naam ke
mere ashk-e-chashm charāġh ne tere saare ḳhat hī jalā diye
hai bahār gum hai fazā bhī chup haiñ chaman se duur vo titliyāñ
ki taraqqiyoñ ne dayār se vo hasīn gaañv miTā diye
maiñ to bāñTtī rahī pothiyāñ jo likhīñ thiiñ tere visāl meñ
ki udāsiyoñ ke hisāb meñ tū ne kyoñ makān jalā diye
ka.ī baar soch ke yuuñ lagā mere haath meñ terā haath hai
jo haqīqatoñ ke diye jale to mohabbatoñ ke bujhā diye
kahīñ kho ga.ī hai jo saañs hī to dhaḌak ke dil ye kare bhī kyā
kisī be-vafā kī 'kashish' ke ġham rah-e-bā-vafā pe bhulā diye
meri dastan-e-ghazal ne ab mere gham sabhi ko bata diye
jo chhupa rahi thi main ab talak wahi raaz-e-dil lo dikha diye
bhala ghumti main kahan kahan liye zaKHm-e-dil tere nam ke
mere ashk-e-chashm charagh ne tere sare KHat hi jala diye
hai bahaar gum hai faza bhi chup hain chaman se dur wo titliyan
ki taraqqiyon ne dayar se wo hasin ganw miTa diye
main to banTti rahi pothiyan jo likhin thin tere visal mein
ki udasiyon ke hisab mein tu ne kyon makan jala diye
kai bar soch ke yun laga mere hath mein tera hath hai
jo haqiqaton ke diye jale to mohabbaton ke bujha diye
kahin kho gai hai jo sans hi to dhaDak ke dil ye kare bhi kya
kisi be-wafa ki 'kashish' ke gham rah-e-ba-wafa pe bhula diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.