Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri darKHwast takalluf ki nishani se hai

Prashant Mishra Man

meri darKHwast takalluf ki nishani se hai

Prashant Mishra Man

MORE BYPrashant Mishra Man

    merī darḳhvāst takalluf nishānī se hai

    yā'nī har baat tirī aañkh ke paanī se hai

    tham na jaa.e tire bartāv se ‘ājiz aa kar

    dil ko taklīf tirī talḳh-zabānī se hai

    is tarah jaan chalī jā.egī ye mumkin hai

    'ishq bhī haa.e mujhe ek siyānī se hai

    maar Dālegā lihāzā mohabbat apnī

    yuuñ na.ī baat hai par rabt purānī se hai

    ḳhush-mizājī se nahīñ aur na ḳhāmoshī se

    aañkh meñ ḳhvāb to nīñdoñ ravānī se hai

    'ishq se harj nahīñ hogā yaqīnan phir bhī

    mujh ko ummīd tirī sāf-bayānī se hai

    meri darKHwast takalluf ki nishani se hai

    ya'ni har baat teri aankh ke pani se hai

    tham na jae tere bartaw se ‘ajiz aa kar

    dil ko taklif teri talKH-zabani se hai

    is tarah jaan chali jaegi ye mumkin hai

    'ishq bhi hae mujhe ek siyani se hai

    mar Dalega lihaza tu mohabbat apni

    yun nai baat hai par rabt purani se hai

    KHush-mizaji se nahin aur na KHamoshi se

    aankh mein KHwab to nindon ki rawani se hai

    'ishq se harj nahin hoga yaqinan phir bhi

    mujh ko ummid teri saf-bayani se hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now