meri gardan par na jaane kis ka chehra rah gaya
merī gardan par na jaane kis kā chehra rah gayā
aa.ine ko maiñ mujhe ā.īna taktā rah gayā
saarā din bikhre hue ḳhvāboñ ko yakjā kījiye
zindagī ke naam par bas ik tamāsha rah gayā
bhar rahī hai siskiyāñ kis ke liye nahr-e-furāt
ai zamīn-e-karbalā ye kaun pyāsā rah gayā
apne ghar ko phūñk deñ aur raushnī paidā kareñ
ab hamāre sāmne bas ek rasta rah gayā
ek din fursat meñ baiThūñgī lagā.uñgī hisāb
maiñ ne kyā kuchh kho diyā aur paas meñ kyā rah gayā
us ne to ik baar 'raḳhshāñ' mujh ko dekhā tak nahīñ
mez ke kone meñ rakkhā merā tohfa rah gayā
meri gardan par na jaane kis ka chehra rah gaya
aaine ko main mujhe aaina takta rah gaya
sara din bikhre hue KHwabon ko yakja kijiye
zindagi ke nam par bas ek tamasha rah gaya
bhar rahi hai siskiyan kis ke liye nahr-e-furaat
ai zamin-e-karbala ye kaun pyasa rah gaya
apne ghar ko phunk den aur raushni paida karen
ab hamare samne bas ek rasta rah gaya
ek din fursat mein baiThungi lagaungi hisab
main ne kya kuchh kho diya aur pas mein kya rah gaya
us ne to ek bar 'raKHshan' mujh ko dekha tak nahin
mez ke kone mein rakkha mera tohfa rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.