meri ghazal jo baDi jagmaga ke nikli hai
merī ġhazal jo baḌī jagmagā ke niklī hai
ye raushnī ka.ī patthar haTā ke niklī hai
havā.eñ roz batātī haiñ chheḌ kar mujh ko
vo ghar se kaun sī ḳhushbū lagā ke niklī hai
na jaane kis kā muqaddar sañvarne vaalā hai
vo ik kitāb meñ chiTThī chhupā ke niklī hai
maiñ saarī umr jinheñ paar kar na pā.ūñgā
vo chand aisī lakīreñ banā ke niklī hai
mere khañDar ko bhī vīrān karnā chāhtī thī
so jaate jaate parinde uḌā ke niklī hai
ye ishq vishq kā nāTak bhī ḳhatm hī samjho
vo man ke manch kā parda girā ke niklī hai
meri ghazal jo baDi jagmaga ke nikli hai
ye raushni kai patthar haTa ke nikli hai
hawaen roz batati hain chheD kar mujh ko
wo ghar se kaun si KHushbu laga ke nikli hai
na jaane kis ka muqaddar sanwarne wala hai
wo ek kitab mein chiTThi chhupa ke nikli hai
main sari umr jinhen par kar na paunga
wo chand aisi lakiren bana ke nikli hai
mere khanDar ko bhi viran karna chahti thi
so jate jate parinde uDa ke nikli hai
ye ishq wishq ka naTak bhi KHatm hi samjho
wo man ke manch ka parda gira ke nikli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.